Day 11 Ramzan
*⭕ Day 11 | Hadees of the Day ⭕* *Guard Your Prayers (Namaz ki Hifazat)* *Hadees:* Rasool Allah ﷺ ne farmaya: _"Bande aur kufr (ya shirk) ke darmiyan farq namaz ko chhor dena hai."_ ( Sahih Muslim : 82) Ek aur riwayat mein farmaya: _"Qayamat ke din bande se sabse pehle namaz ka hisaab liya jayega. Agar namaz theek hui to baqi aamaal bhi theek honge, aur agar namaz kharab hui to baqi aamaal bhi kharab honge."_ ( Jami` at-Tirmidhi : 413) *Explanation:* Namaz sirf ek farz nahi... yeh imaan ki nishani hai. Yeh Allah se direct connection hai. Aaj ke busy routine mein log namaz ko delay kar dete hain: “Meeting ke baad parh lunga…” “Thoda kaam khatam ho jaye…” “Baad mein qaza kar lunga…” Lekin sochiye... Jo Rabb hume 24 ghante deta hai, kya woh 5 waqt ka haq nahi rakhta? Namaz rooh ko saaf karti hai, gunahon ko dhoti hai, aur dil ko sukoon deti hai. Jo shakhs namaz ko sambhal leta hai, Allah uski zindagi ko sambhal leta hai. *Lesson Learnt:* Kaam zaroori hai, lekin namaz...