Day 1 Ramzan
*⭕ Day 01 | Hadees of the Day ⭕*
The Story of the "Bankrupt" Person (Asal Muflis Kaun?)
Hadees: Rasool Allah ﷺ ne sahaba se poocha: "Kya tum jante ho muflis (bankrupt) kaun hai?" Sahaba ne kaha: "Jiske paas paisa aur mal-o-mataa na ho."
Aap ﷺ ne farmaya: "Meri ummat ka muflis woh hai jo Qayamat ke din Namaz, Roza aur Zakat lekar ayega, lekin usne kisi ko gaali di hogi, kisi par tohmat (ilzam) lagayi hogi, kisi ka mal khaya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga aur kisi ko maara hoga.
Phir uski nekiyan in logon ko de di jayengi. Agar nekiyan khatam ho gayin aur haqdar baqi reh gaye, to un logon ke gunah is shakhs par daal diye jayenge aur phir usay Jahannam mein phenk diya jayega." (Sahih Muslim: 2581)
Lesson Learnt: Sirf ibadat kaafi nahi; logon ke sath muamlat (ethics) saaf rakhna hi asal kamyabi hai.


Comments
Post a Comment
Thank you we will call back later