Posts

Showing posts from March 9, 2026

Day 19 Ramzan

Image
 *⭕ Day 19 | Hadees of the Day ⭕* * The Believer is Gentle and Easy to Deal With * *Hadees:* Rasool Allah ﷺ ne farmaya: _"Allah us shakhs par reham karta hai jo jab bechta hai to narmi karta hai, jab khareedta hai to narmi karta hai, aur jab apna haq talab karta hai to bhi narmi karta hai."_ ( Sahih Bukhari : 2076) *Explanation:* Aaj ke daur mein aksar log muamlat (dealings) mein sakhti ikhtiyar karte hain... chahe business ho, paison ka lena dena ho, ya rozmarra ki dealings. Log aksar chhoti si baat par jhagad padte hain, apne haq ke liye sakht ho jate hain, aur dusron ki majboori ko samajhne ki koshish nahi karte. Lekin Rasool Allah ﷺ ne hume sikhaya ke ek momin ki pehchaan yeh hai ke woh muamlat mein narmi aur insaaf rakhta hai. Agar koi karz wapas karne mein der kare, to us par sakhti karne ke bajaye uski majboori samajhna bhi ek badi neki hai. Agar business mein insaan narmi aur sachai rakhe, to uski kamai mein barkat hoti hai. *Lesson Learnt:* Zindagi ke muamlat m...