Day 24 Ramzan
*⭕ Day 24 | Hadees of the Day ⭕*
*Do Not Waste (Israf se Bacho)*
*Hadees:*
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
_"Khao, piyo aur sadqa karo, lekin israf (waste) aur takabbur ke baghair."_
(Sahih Bukhari: 5349)
*Explanation:*
Aaj ke daur mein waste karna ek aam aadat ban gaya hai... khane mein waste, pani mein waste,
paise mein waste, aur waqt mein bhi waste.
Kabhi plate mein zyada khana le kar chhor dena, kabhi zarurat se zyada khareed lena, kabhi sirf dikhawa ke liye kharch karna.
Islam hume balance sikhata hai. Allah ne jo ne’matein di hain, woh amanat hain unka shukar bhi zaroori hai aur unki hifazat bhi.
Jab insaan waste karta hai, to woh na shukri ka izhar karta hai. Aur jab insaan ehtiyat karta hai, to uski zindagi mein barkat paida hoti hai.
*Lesson Learnt:*
Har ne’mat ki qadr karo... chahe woh khana ho, pani ho, paisa ho ya waqt.
Jahan shukar hota hai, wahan barkat hoti hai. Aur jahan waste hota hai, wahan barkat kam ho jati hai.


Comments
Post a Comment
Thank you we will call back later