Day 16 Ramzan
*⭕ Day 16 | Hadees of the Day ⭕*
*The Importance of Kindness to Parents (Walidain ke Sath Husn-e-Sulook)*
*Hadees:*
Rasool Allah ﷺ se poocha gaya:
_"Allah ko sabse zyada kaunsa amal pasand hai?"_
Aap ﷺ ne farmaya:
_"Namaz ko uske waqt par ada karna."_
Phir poocha gaya:
_"Uske baad kaunsa amal?"_
Aap ﷺ ne farmaya:
_"Walidain ke sath husn-e-sulook (acha bartao)."_
(Sahih Bukhari: 527, Sahih Muslim: 85)
*Explanation:*
Islam mein walidain ka maqam bohot buland hai. Namaz ke baad sabse bada amal unke sath acha bartao karna bataya gaya hai.
Aksar insaan bahar walon ke sath bohot polite hota hai, lekin ghar mein walidain se tez lehje mein baat kar leta hai. Kabhi unki baat ko ignore karta hai, kabhi unki zarurat ko samajhne ki koshish nahi karta.
Walidain ne bachpan se lekar jawani tak hume pala, hamari khushi ke liye apni khushiyan qurbaan ki. Unki dua insaan ki zindagi badal sakti hai.
Unki khidmat, unki izzat aur unke sath narmi se baat karna sirf farz hi nahi... yeh Allah ki raza ka zariya hai.
*Lesson Learnt:*
Agar zindagi mein barkat chahte ho, toh walidain ki khidmat karo aur unka dil kabhi na dukhayo. Unki dua Jannat ke darwaze khol sakti hai.


Comments
Post a Comment
Thank you we will call back later